dua ke hath mein KHanjar baDa ajib laga
dua ke hath mein KHanjar baDa ajib laga
Mohammad Amir Alvi Amir
MORE BYMohammad Amir Alvi Amir
duā ke haath meñ ḳhanjar baḌā ajiib lagā
badalte vaqt kā manzar baḌā ajiib lagā
lahū vafāoñ kā pī kar bhī na huā gulzār
siyāsatoñ kā ye banjar baḌā ajiib lagā
zamīñ se roTī ugāne hī vaale haiñ bhūke
ye mehnatoñ kā muqaddar baḌā ajiib lagā
maiñ aa.ina thā zamāne ke hādsoñ kā hī
usī ne dekhā jo hañs kar baḌā ajiib lagā
huā hai kyā ki ujāloñ se Dar rahe haiñ log
tumhāre shahr kā ghar ghar baḌā ajiib lagā
gunāhoñ ke hī gale meñ ināyatoñ kā haar
adālatoñ kā ye zevar baḌā ajiib lagā
luTī-luTī sī hai rāheñ miTī-miTī manzil
safar ye umr kā aksar baḌā ajiib lagā
dua ke hath mein KHanjar baDa ajib laga
badalte waqt ka manzar baDa ajib laga
lahu wafaon ka pi kar bhi na hua gulzar
siyasaton ka ye banjar baDa ajib laga
zamin se roTi ugane hi wale hain bhuke
ye mehnaton ka muqaddar baDa ajib laga
main aaina tha zamane ke hadson ka hi
usi ne dekha jo hans kar baDa ajib laga
hua hai kya ki ujalon se Dar rahe hain log
tumhaare shahr ka ghar ghar baDa ajib laga
gunahon ke hi gale mein inayaton ka haar
adalaton ka ye zewar baDa ajib laga
luTi-luTi si hai rahen miTi-miTi manzil
safar ye umr ka aksar baDa ajib laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.