dua kisi ki kare ya na mustajab kare
dua kisi ki kare ya na mustajab kare
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
duā kisī kī kare yā na mustajāb kare
magar tū chāhe to zarre ko āftāb kare
gunāh bhī jo kare rashk-e-sad-savāb kare
jo nāravā ho use bhī ravā shabāb kare
mirī nazar ki jise chāhe be-naqāb kare
ḳhudā vo din to dikhā.e jo tū hijāb kare
mirā ye kaam ki merī talab musalsal sidq
tirā ye kaam ki jab chāhe kāmyāb kare
na ḳhauf-e-pursish-e-mahshar na fikr-e-roz-e-hisāb
bashar gunāh par aa.e to be-hisāb kare
ḳhirad se ban na paḌī kuchh to kah diyā dil se
ḳhudā tujhe tire maqsad meñ kāmyāb kare
'sahar' ko tauba se inkār to nahīñ lekin
nigāh-e-mast agar mā.il-e-sharāb kare
dua kisi ki kare ya na mustajab kare
magar tu chahe to zarre ko aaftab kare
gunah bhi jo kare rashk-e-sad-sawab kare
jo narawa ho use bhi rawa shabab kare
meri nazar ki jise chahe be-naqab kare
KHuda wo din to dikhae jo tu hijab kare
mera ye kaam ki meri talab musalsal sidq
tera ye kaam ki jab chahe kaamyab kare
na KHauf-e-pursish-e-mahshar na fikr-e-roz-e-hisab
bashar gunah par aae to be-hisab kare
KHirad se ban na paDi kuchh to kah diya dil se
KHuda tujhe tere maqsad mein kaamyab kare
'sahar' ko tauba se inkar to nahin lekin
nigah-e-mast agar mail-e-sharab kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.