dua ne kaam kiya hai yaqin nahin aata
duā ne kaam kiyā hai yaqīñ nahīñ aatā
vo mere paas khaḌā hai yaqīñ nahīñ aatā
maiñ jis maqām par aa kar rukā huuñ shaam Dhale
vahīñ pe vo bhī rukā hai yaqīñ nahīñ aatā
vo jis kī aañkh meñ donoñ jahāñ dikhā.ī paḌeñ
vo mujh ko dekh rahā hai yaqīñ nahīñ aatā
jise sanam kabhī samjhā kabhī ḳhudā jaanā
vo aisā hosh-rubā hai yaqīñ nahīñ aatā
jo soz ban ke samāyā thā mere sheroñ meñ
vo saaz ban ke uThā hai yaqīñ nahīñ aatā
shagufta chehra aur is par tapāñ tapāñ aariz
koī anaar chhuTā hai yaqīñ nahīñ aatā
zahe nasīb ki lau de uThī hai tārīkī
sukūt bol paḌā hai yaqīñ nahīñ aatā
harīm-e-nāz ko dekho ki aaj pahlī baar
dar-e-niyāz khulā hai yaqīñ nahīñ aatā
ye kaise pichhle dinoñ chup sī lag ga.ī thī jise
phir aaj naġhma-sarā hai yaqīñ nahīñ aatā
dua ne kaam kiya hai yaqin nahin aata
wo mere pas khaDa hai yaqin nahin aata
main jis maqam par aa kar ruka hun sham Dhale
wahin pe wo bhi ruka hai yaqin nahin aata
wo jis ki aankh mein donon jahan dikhai paDen
wo mujh ko dekh raha hai yaqin nahin aata
jise sanam kabhi samjha kabhi KHuda jaana
wo aisa hosh-ruba hai yaqin nahin aata
jo soz ban ke samaya tha mere sheron mein
wo saz ban ke uTha hai yaqin nahin aata
shagufta chehra aur is par tapan tapan aariz
koi anar chhuTa hai yaqin nahin aata
zahe nasib ki lau de uThi hai tariki
sukut bol paDa hai yaqin nahin aata
harim-e-naz ko dekho ki aaj pahli bar
dar-e-niyaz khula hai yaqin nahin aata
ye kaise pichhle dinon chup si lag gai thi jise
phir aaj naghma-sara hai yaqin nahin aata
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 522)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.