dua salam sar-e-rahguzar kar lena
duā salām sar-e-rahguzār kar lenā
magar har ek pe mat e.atibār kar lenā
udhar na bhuul ke jaanā havā jidhar kī chale
ye dil pe jabr sahī iḳhtiyār kar lenā
haiñ āstīnoñ meñ ḳhanjar zarā sañbhal ke miyāñ
ravā-ravī meñ na qaul-o-qarār kar lenā
mirā ḳhamīr hai apne vatan kī miTTī se
mirī ḳhatāoñ meñ ye bhī shumār kar lenā
ḳharāb ho chukī maanā rafāqatoñ kī fazā
gale lagā ke unheñ ḳhush-gavār kar lenā
ye vo ḳhazāna hai jis kā badal nahīñ koī
ta.alluqāt-e-kuhan ustuvār kar lenā
jo gird-o-pesh baḌhe zor kam-ayyārī kā
buland apnī anā kā hisār kar lenā
maiñ ab ke yaad kī ḳhil.at pahan ke ā.ūñgā
ye merā va.ada rahā intizār kar lenā
nayā nahīñ hai tamāshā ye dilbaroñ kā 'sahar'
hai un kā khel diloñ kā shikār kar lenā
dua salam sar-e-rahguzar kar lena
magar har ek pe mat eatibar kar lena
udhar na bhul ke jaana hawa jidhar ki chale
ye dil pe jabr sahi iKHtiyar kar lena
hain aastinon mein KHanjar zara sanbhal ke miyan
rawa-rawi mein na qaul-o-qarar kar lena
mera KHamir hai apne watan ki miTTi se
meri KHataon mein ye bhi shumar kar lena
KHarab ho chuki mana rafaqaton ki faza
gale laga ke unhen KHush-gawar kar lena
ye wo KHazana hai jis ka badal nahin koi
talluqat-e-kuhan ustuwar kar lena
jo gird-o-pesh baDhe zor kam-ayyari ka
buland apni ana ka hisar kar lena
main ab ke yaad ki KHilat pahan ke aaunga
ye mera wada raha intizar kar lena
naya nahin hai tamasha ye dilbaron ka 'sahar'
hai un ka khel dilon ka shikar kar lena
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.