dua tasir se aari wazaif raegan yani
duā tāsīr se aarī vazā.if rā.egāñ ya.anī
amal radd-e-balā ke ho ga.e saare dhuāñ ya.anī
haqīqat kyā hai is kī kaun jaane kaun batlā.e
rahā hai zindagī kā ham-safar paiham gumāñ ya.anī
badalte jā rahe haiñ zāviye sūraj kī nazroñ ke
zamīñ nārāz lagtī hai ḳhafā hai āsmāñ ya.anī
jo dekhoge to lagtā hai sarāb-e-dasht bhī dariyā
jo socho tum agar to ḳhvāb sā hai ye jahāñ ya.anī
chalo anjām ko āġhāz ke nuqte pe le aa.eñ
bichhaḌte haiñ vahīñ chal kar mile the ham jahāñ ya.anī
jahān-e-rang-o-bū kī bas haqīqat aur kyā hogī
guzargāh-e-zamāna kā hai shāyad ye nishāñ ya.anī
hai bas itnā faqat ham aap ko masrūf rakhte haiñ
vagarna shā.irī 'jāved' hai kār-e-ziyāñ ya.anī
dua tasir se aari wazaif raegan yani
amal radd-e-bala ke ho gae sare dhuan yani
haqiqat kya hai is ki kaun jaane kaun batlae
raha hai zindagi ka ham-safar paiham guman yani
badalte ja rahe hain zawiye suraj ki nazron ke
zamin naraaz lagti hai KHafa hai aasman yani
jo dekhoge to lagta hai sarab-e-dasht bhi dariya
jo socho tum agar to KHwab sa hai ye jahan yani
chalo anjam ko aaghaz ke nuqte pe le aaen
bichhaDte hain wahin chal kar mile the hum jahan yani
jahan-e-rang-o-bu ki bas haqiqat aur kya hogi
guzargah-e-zamana ka hai shayad ye nishan yani
hai bas itna faqat hum aap ko masruf rakhte hain
wagarna shairi 'jawed' hai kar-e-ziyan yani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.