dua ye hai ki na de sath ab hayat bahut
duā ye hai ki na de saath ab hayāt bahut
ki mujh pe bhārī hai ġham kī siyāh raat bahut
mujhī se ishq vafāoñ kī kā.enāt ko thā
mujhī ko roī vafāoñ kī kā.enāt bahut
tamām raat tumhārā hī intizār rahā
tumhīñ ko maiñ ne pukārā tamām raat bahut
har ik umang ubhartī thī Duub jaane ko
bahut qarīb thī hadd-e-ta.a.yyunāt bahut
vo merī terī mohabbat kī baat hai pyāre
chalī hai jo bhī zamāne meñ koī baat bahut
jalī jalī sī guzārī thī zindagī maiñ ne
bujhī bujhī sī rahī hai mirī hayāt bahut
ḳhudā gavāh mire ġhaznavī ko kyā ma.alūm
burā sā lagtā hai vīrān somnāt bahut
mirī udaas nigāhoñ ko dekhne vaalo
na.e khilāḌī ko hotī hai ek maat bahut
dua ye hai ki na de sath ab hayat bahut
ki mujh pe bhaari hai gham ki siyah raat bahut
mujhi se ishq wafaon ki kaenat ko tha
mujhi ko roi wafaon ki kaenat bahut
tamam raat tumhaara hi intizar raha
tumhin ko main ne pukara tamam raat bahut
har ek umang ubharti thi Dub jaane ko
bahut qarib thi hadd-e-tayyunat bahut
wo meri teri mohabbat ki baat hai pyare
chali hai jo bhi zamane mein koi baat bahut
jali jali si guzari thi zindagi main ne
bujhi bujhi si rahi hai meri hayat bahut
KHuda gawah mere ghaznawi ko kya malum
bura sa lagta hai viran somnat bahut
meri udas nigahon ko dekhne walo
nae khilaDi ko hoti hai ek mat bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.