duaen mang ke dil ko qarar rahta hai
duā.eñ maañg ke dil ko qarār rahtā hai
tire karam kā hameñ intizār rahtā hai
vo mere dard ko paḌhtā hai mere chehre se
namī ho aañkh meñ to be-qarār rahtā hai
agar kabhī maiñ jhiḌak duuñ kisī savālī ko
mirā zamīr bahut sharmsār rahtā hai
jab ek firqe ke logoñ pe TūTte haiñ sitam
tamāsh-bīnoñ meñ hī shahryār rahtā hai
ye sach hai phone pe baat huiiñ magar beTo
gale lagāne ko dil be-qarār rahtā hai
hamārī jholī meñ la.al-o-gohar nahīñ 'āsif'
ḳhazāna pyaar kā haañ be-shumār rahtā hai
duaen mang ke dil ko qarar rahta hai
tere karam ka hamein intizar rahta hai
wo mere dard ko paDhta hai mere chehre se
nami ho aankh mein to be-qarar rahta hai
agar kabhi main jhiDak dun kisi sawali ko
mera zamir bahut sharmsar rahta hai
jab ek firqe ke logon pe TuTte hain sitam
tamash-binon mein hi shahryar rahta hai
ye sach hai phone pe baat huin magar beTo
gale lagane ko dil be-qarar rahta hai
hamari jholi mein lal-o-gohar nahin 'asif'
KHazana pyar ka han be-shumar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.