duaen mang rahe hain kai KHayal abhi
du'ā.eñ maañg rahe haiñ ka.ī ḳhayāl abhī
ḳhudā ke ghar se farishtoñ ko mat nikāl abhī
dabā le dard abhī āñsuoñ ko paal abhī
tirā ye āḳhirī sikka hai mat uchhāl abhī
havā se kahnā zarā aur intizār kare
karegī raat charāġhoñ kī dekh-bhāl abhī
ga.e dinoñ kī amānat usī kī nok pe hai
hamāre siine se ḳhanjar ye mat nikāl abhī
ḳhudā kā shukr parinde safar se lauT aa.e
shikāriyoñ ke agarche bichhe haiñ jaal abhī
vafā ke khel meñ nau-vārid-e-bisāt huuñ maiñ
samajh meñ aatī nahīñ dushmanoñ kī chaal abhī
dhiyān aap ke ehsān kā bhī hai lekin
kisī ke qarz meñ Duubā huuñ bāl-bāl abhī
bhañvar se bach ke chalī aa.ī ek naav 'fahīm'
na pūchh kitnā samundar ko hai malāl abhī
du'aen mang rahe hain kai KHayal abhi
KHuda ke ghar se farishton ko mat nikal abhi
daba le dard abhi aansuon ko pal abhi
tera ye aaKHiri sikka hai mat uchhaal abhi
hawa se kahna zara aur intizar kare
karegi raat charaghon ki dekh-bhaal abhi
gae dinon ki amanat usi ki nok pe hai
hamare sine se KHanjar ye mat nikal abhi
KHuda ka shukr parinde safar se lauT aae
shikariyon ke agarche bichhe hain jal abhi
wafa ke khel mein nau-warid-e-bisat hun main
samajh mein aati nahin dushmanon ki chaal abhi
dhiyan aap ke ehsan ka bhi hai lekin
kisi ke qarz mein Duba hun baal-baal abhi
bhanwar se bach ke chali aai ek naw 'fahim'
na puchh kitna samundar ko hai malal abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.