Dubo ke apne lahu mein ye ungliyan laDki
Dubo ke apne lahū meñ ye uñgliyāñ laḌkī
likhegī to bhī mohabbat kī dāstāñ laḌkī
mujhe ye Dar hai tujhe kirchiyoñ meñ baañT na de
jo tere vāste laayā hai chūḌiyāñ laḌkī
churā ke le hī na jaa.eñ ye rañg-o-rūp tirā
gulāb-e-dil pe na aane de titliyāñ laḌkī
ye zaḳhm-e-hijr to bhar jā.egā magar is kā
tamām 'umr ko rah jā.egā nishāñ laḌkī
ye dilbarī jise āsāñ samajh rahī hai tū
har ek moḌ pe laatī hai imtihāñ laḌkī
mirī du'ā hai ba-har-gām chāhatoñ kā safar
tire liye ho sitāroñ kī kahkashāñ laḌkī
Dubo ke apne lahu mein ye ungliyan laDki
likhegi to bhi mohabbat ki dastan laDki
mujhe ye Dar hai tujhe kirchiyon mein banT na de
jo tere waste laya hai chuDiyan laDki
chura ke le hi na jaen ye rang-o-rup tera
gulab-e-dil pe na aane de titliyan laDki
ye zaKHm-e-hijr to bhar jaega magar is ka
tamam 'umr ko rah jaega nishan laDki
ye dilbari jise aasan samajh rahi hai tu
har ek moD pe lati hai imtihan laDki
meri du'a hai ba-har-gam chahaton ka safar
tere liye ho sitaron ki kahkashan laDki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.