duhai hai teri tu le KHabar o la-makan wale
duhā.ī hai tirī tū le ḳhabar o lā-makāñ vaale
chaman meñ ro rahe haiñ āshiyāñ ko āshiyāñ vaale
bhaTak sakte nahīñ ab kārvāñ se kārvāñ vaale
nishānī har qadam par dete jaate haiñ nishāñ vaale
qayāmat hai hamārā ghar hamāre hī liye zindāñ
raheñ pāband ho kar āshiyāñ meñ āshiyāñ vaale
mire sayyād kā allāhu-akbar ro.ab kitnā hai
qafas meñ bhī zabāñ ko band rakhte haiñ zabāñ vaale
yahī kamzoriyāñ apnī raheñ to ai 'qamar' ik din
makānoñ meñ bhī apne rah nahīñ sakte makāñ vaale
duhai hai teri tu le KHabar o la-makan wale
chaman mein ro rahe hain aashiyan ko aashiyan wale
bhaTak sakte nahin ab karwan se karwan wale
nishani har qadam par dete jate hain nishan wale
qayamat hai hamara ghar hamare hi liye zindan
rahen paband ho kar aashiyan mein aashiyan wale
mere sayyaad ka allahu-akbar roab kitna hai
qafas mein bhi zaban ko band rakhte hain zaban wale
yahi kamzoriyan apni rahen to ai 'qamar' ek din
makanon mein bhi apne rah nahin sakte makan wale
- Book : Rashq-e-Qamar (Pg. 78)
- Author : Qamar Jalalvi
- Publication : Shaikh Shokat ali and Sons
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.