dui ka naqsh fana ho to lutf aa jae
duī kā naqsh fanā ho to lutf aa jaa.e
anā meñ rang-e-ġhinā ho to lutf aa jaa.e
hamāre jazb-e-darūñ ke liye dil-e-daurāñ
tamām mad.h-o-sanā ho to lutf aa jaa.e
umang sang rahe zindagī meñ rang rahe
zamāna dost banā ho to lutf aa jaa.e
shab-e-visāl ba-ro.ab-e-jamāl kāfir kā
anā meñ siina tanā ho to lutf aa jaa.e
milan kī shaam badan jaam kām-ras ho tamām
vo ruuTh kar jo manā ho to lutf aa jaa.e
ġhurūr-e-husn mire shoK-e-fitna-sāmāñ kā
fanā na ho jo fanā ho to lutf aa jaa.e
kaḌā safar hai kaḌī dhuup hai umangoñ kī
kahīñ jo saaya ghanā ho to lutf aa jaa.e
kisī bhī desh meñ dhartī ne ranj-o-ġham sah kar
jo koī viir janā ho to lutf aa jaa.e
ḳhirad kā ghor añdherā hai man kī chilman meñ
junūñ kā nuur chhanā ho to lutf aa jaa.e
junūñ-tarāz koī sher 'krishn' mohan kā
fusūn-e-rāz banā ho to lutf aa jaa.e
dui ka naqsh fana ho to lutf aa jae
ana mein rang-e-ghina ho to lutf aa jae
hamare jazb-e-darun ke liye dil-e-dauran
tamam madh-o-sana ho to lutf aa jae
umang sang rahe zindagi mein rang rahe
zamana dost bana ho to lutf aa jae
shab-e-visal ba-roab-e-jamal kafir ka
ana mein sina tana ho to lutf aa jae
milan ki sham badan jam kaam-ras ho tamam
wo ruTh kar jo mana ho to lutf aa jae
ghurur-e-husn mere shoK-e-fitna-saman ka
fana na ho jo fana ho to lutf aa jae
kaDa safar hai kaDi dhup hai umangon ki
kahin jo saya ghana ho to lutf aa jae
kisi bhi desh mein dharti ne ranj-o-gham sah kar
jo koi wir jana ho to lutf aa jae
KHirad ka ghor andhera hai man ki chilman mein
junun ka nur chhana ho to lutf aa jae
junun-taraaz koi sher 'krishn' mohan ka
fusun-e-raaz bana ho to lutf aa jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.