dukh apna chhupane mein zara waqt lagega
dukh apnā chhupāne meñ zarā vaqt lagegā
ab us ko bhulāne meñ zarā vaqt lagegā
tū ne jo pukārā to palaT ā.ūñgī vāpas
haañ lauT ke aane meñ zarā vaqt lagegā
likkhā thā baḌe chaav se jis naam ko dil par
vo naam miTāne meñ zarā vaqt lagegā
detā hai kisī aur ko tarjīh vo mujh par
us ko ye jatāne meñ zarā vaqt lagegā
jis shāḳh pe phal-phūl nahīñ aa.e haiñ ab tak
vo shāḳh jhukāne meñ zarā vaqt lagegā
sab ranj-o-alam milne chale aa.e haiñ mujh se
mahfil ko sajāne meñ zarā vaqt lagegā
maiñ dekh bhī saktī huuñ kisī aur ko tujh sañg
ye dard kamāne meñ zarā vaqt lagegā
jo aag 'sadaf' hijr ne hai dil meñ lagā.ī
vo aag bujhāne meñ zarā vaqt lagegā
dukh apna chhupane mein zara waqt lagega
ab us ko bhulane mein zara waqt lagega
tu ne jo pukara to palaT aaungi wapas
han lauT ke aane mein zara waqt lagega
likkha tha baDe chaw se jis nam ko dil par
wo nam miTane mein zara waqt lagega
deta hai kisi aur ko tarjih wo mujh par
us ko ye jatane mein zara waqt lagega
jis shaKH pe phal-phul nahin aae hain ab tak
wo shaKH jhukane mein zara waqt lagega
sab ranj-o-alam milne chale aae hain mujh se
mahfil ko sajaane mein zara waqt lagega
main dekh bhi sakti hun kisi aur ko tujh sang
ye dard kamane mein zara waqt lagega
jo aag 'sadaf' hijr ne hai dil mein lagai
wo aag bujhane mein zara waqt lagega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.