dukh bhare dil jinhen hasil nahin hone pate
dukh bhare dil jinheñ hāsil nahīñ hone paate
vo tirī bazm ke qābil nahīñ hone paate
duur hote haiñ to dil aur mahak uThte haiñ
fāsle ishq meñ haa.il nahīñ hone paate
ham ki tūfān-e-shab-e-tār se bach nikle haiñ
phir bhī āsūda-e-sāhil nahīñ hone paate
jāda-e-ishq meñ duniyā ne pukārā hai hameñ
phir bhī ham gumrah-e-manzil nahīñ hone paate
us taraf dair-o-haram ḳhuub saje haiñ lekin
terī mahfil ke muqābil nahīñ hone paate
dukh bhare dil jinhen hasil nahin hone pate
wo teri bazm ke qabil nahin hone pate
dur hote hain to dil aur mahak uThte hain
fasle ishq mein hail nahin hone pate
hum ki tufan-e-shab-e-tar se bach nikle hain
phir bhi aasuda-e-sahil nahin hone pate
jada-e-ishq mein duniya ne pukara hai hamein
phir bhi hum gumrah-e-manzil nahin hone pate
us taraf dair-o-haram KHub saje hain lekin
teri mahfil ke muqabil nahin hone pate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.