dukh dard gham hain teri inayat zindagi
dukh dard ġham haiñ terī ināyāt zindagī
tū ne nibhā.īñ ḳhuub rivāyāt zindagī
ik tū niyāz-mand sarāpā maiñ be-niyāz
milte nahīñ haiñ apne ḳhayālāt zindagī
fitrat meñ aadmī ke taġhayyur nahīñ magar
insān ko badalte haiñ hālāt zindagī
milte rahe haiñ saare zamāne se umr bhar
tujh se na jaane kab ho mulāqāt zindagī
donoñ ke biich koī ta.alluq nahīñ hai ḳhaas
jiinā hai aur chiiz alag baat zindagī
ārām se guzārtī kuchh din hayāt ke
suntī kabhī jo tū bhī mirī baat zindagī
hai musta.ār tār-e-nafas se tirā vajūd
is se ziyāda kyā tirī auqāt zindagī
sāñsoñ ke vāste kare dast-e-talab darāz
har roz mujh se māñge hai ḳhairāt zindagī
auroñ ke vāste hai mujassam takallufāt
'āqib' tire liye hai ḳhurāfāt zindagī
dukh dard gham hain teri inayat zindagi
tu ne nibhain KHub riwayat zindagi
ek tu niyaz-mand sarapa main be-niyaz
milte nahin hain apne KHayalat zindagi
fitrat mein aadmi ke taghayyur nahin magar
insan ko badalte hain haalat zindagi
milte rahe hain sare zamane se umr bhar
tujh se na jaane kab ho mulaqat zindagi
donon ke bich koi talluq nahin hai KHas
jina hai aur chiz alag baat zindagi
aaram se guzarti kuchh din hayat ke
sunti kabhi jo tu bhi meri baat zindagi
hai mustaar tar-e-nafas se tera wajud
is se ziyaada kya teri auqat zindagi
sanson ke waste kare dast-e-talab daraaz
har roz mujh se mange hai KHairaat zindagi
auron ke waste hai mujassam takallufat
'aqib' tere liye hai KHurafat zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.