dukh-dard musibat gham-o-alam nahin hai
dukh-dard musībat ġham-o-ālām nahīñ hai
kis dil meñ bhalā fasl-e-ḳhūñ-āshām nahīñ hai
jaarī hai abhī khel vahī zulm-o-sitam kā
āġhāz hī āġhāz hai anjām nahīñ hai
hotī hai shab-o-roz hī rishtoñ kī tijārat
duniyā meñ mohabbat kā kahīñ naam nahīñ hai
auroñ ke liye sub.h tire lutf-o-karam kī
kyā ham pe ināyat kī koī shaam nahīñ hai
qātil bhī haiñ mahfūz siyāsat kī badaulat
ab un pe kisī qatl kā ilzām nahīñ hai
chehre ko chhupāte haiñ yahāñ log 'sharāfat'
chehre ko dikhāne kā chalan aam nahīñ hai
dukh-dard musibat gham-o-alam nahin hai
kis dil mein bhala fasl-e-KHun-asham nahin hai
jari hai abhi khel wahi zulm-o-sitam ka
aaghaz hi aaghaz hai anjam nahin hai
hoti hai shab-o-roz hi rishton ki tijarat
duniya mein mohabbat ka kahin nam nahin hai
auron ke liye subh tere lutf-o-karam ki
kya hum pe inayat ki koi sham nahin hai
qatil bhi hain mahfuz siyasat ki badaulat
ab un pe kisi qatl ka ilzam nahin hai
chehre ko chhupate hain yahan log 'sharafat'
chehre ko dikhane ka chalan aam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.