dukh-dard zamane mein uThata hai bhala kaun
dukh-dard zamāne meñ uThātā hai bhalā kaun
karte haiñ sabhī va.ade nibhātā hai bhalā kaun
ik mere sivā tere liye raah meñ jānāñ
āñkhoñ ko sar-e-farsh bichhātā hai bhalā kaun
sab tolne baiThe haiñ tarāzū meñ kudūrat
andāza mohabbat kā lagātā hai bhalā kaun
bas mujh ko charāġhoñ kī bahut fikr hai varna
ab diip ujāloñ meñ jalātā hai bhalā kaun
sūraj ke ujāloñ kī murīdī meñ sabhī haiñ
sūraj se magar aañkh milātā hai bhalā kaun
ye shaiḳh bahut jald ga.e niiñd kī had meñ
to raat ko maiḳhāne meñ jaatā hai bhalā kaun
is peḌ ko kaaTo nahīñ rahne do zamīñ par
jalte hue sūraj se bachātā hai bhalā kaun
kaafī hai tumhāre liye bas itnī sī tardīd
har baat meñ ab Taañg phañsātā hai bhalā kaun
sab laabh uThāte haiñ chale jaate haiñ 'anvar'
ab ishq meñ nuqsān uThātā hai bhalā kaun
dukh-dard zamane mein uThata hai bhala kaun
karte hain sabhi wade nibhata hai bhala kaun
ek mere siwa tere liye rah mein jaanan
aankhon ko sar-e-farsh bichhata hai bhala kaun
sab tolne baiThe hain taraazu mein kudurat
andaza mohabbat ka lagata hai bhala kaun
bas mujh ko charaghon ki bahut fikr hai warna
ab dip ujalon mein jalata hai bhala kaun
suraj ke ujalon ki muridi mein sabhi hain
suraj se magar aankh milata hai bhala kaun
ye shaiKH bahut jald gae nind ki had mein
to raat ko maiKHane mein jata hai bhala kaun
is peD ko kaTo nahin rahne do zamin par
jalte hue suraj se bachata hai bhala kaun
kafi hai tumhaare liye bas itni si tardid
har baat mein ab Tang phansata hai bhala kaun
sab labh uThate hain chale jate hain 'anwar'
ab ishq mein nuqsan uThata hai bhala kaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.