Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dukh judai ke KHwab ho jaen

Iqra Afiya

dukh judai ke KHwab ho jaen

Iqra Afiya

MORE BYIqra Afiya

    dukh judā.ī ke ḳhvāb ho jaa.eñ

    dard saare gulāb ho jaa.eñ

    aap baiTheñ jo mere pahlū meñ

    log jal kar kabāb ho jaa.eñ

    ek pal ko jo duur tum jaao

    ashk mere kitāb ho jaa.eñ

    mere lab par savāl aayā hai

    terī āñkheñ javāb ho jaa.eñ

    rābte meñ rahā karo tum bhī

    na kahīñ dil ḳharāb ho jaa.eñ

    jin parindoñ ko uḌnā aatā ho

    un pe pinjre azaab ho jaa.eñ

    us ke hāthoñ ke lams se 'iqrā'

    ḳhaak reze gulāb ho jaa.eñ

    dukh judai ke KHwab ho jaen

    dard sare gulab ho jaen

    aap baiThen jo mere pahlu mein

    log jal kar kabab ho jaen

    ek pal ko jo dur tum jao

    ashk mere kitab ho jaen

    mere lab par sawal aaya hai

    teri aankhen jawab ho jaen

    rabte mein raha karo tum bhi

    na kahin dil KHarab ho jaen

    jin parindon ko uDna aata ho

    un pe pinjre azab ho jaen

    us ke hathon ke lams se 'iqra'

    KHak reze gulab ho jaen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now