dukh ke aalam mein bhi bas ek sahaara dukh hai
dukh ke aalam meñ bhī bas ek sahārā dukh hai
ḳhush to bas yuuñ haiñ ke is baar tumhārā dukh hai
jiit kar laao to ḳhushiyoñ kā sabab bantā hai
haar jaao to mire yaar sitāra dukh hai
āsmāñ vāloñ ne us baar bhī dukh bhejā thā
āsmāñ vāloñ ne ab ke bhī utārā dukh hai
tere hāthoñ ne jo thāmā hai kisī aur kā haath
merī āñkhoñ ko yahī ek nazāra dukh hai
ghar kī ta.amīr ko bas ret mayassar ho jinheñ
aise logoñ ko ye dariyā kā kināra dukh hai
ham se inkār-e-mohabbat kā bhalā kab tak ho
us ke chehre pe ayaañ saaf hamārā dukh hai
aisī hālat meñ to mar jaate haiñ achchhe achchhe
ham ne jis haal meñ is baar guzārā dukh hai
ham ne is baar palaT kar nahīñ dekhā us ko
us ne is baar mirā naam pukārā dukh hai
donoñ ko ek hī zumre meñ rakhā hai 'irfān'
ham ne ḳhushiyāñ na sañvārī na sañvārā dukh hai
dukh ke aalam mein bhi bas ek sahaara dukh hai
KHush to bas yun hain ke is bar tumhaara dukh hai
jit kar lao to KHushiyon ka sabab banta hai
haar jao to mere yar sitara dukh hai
aasman walon ne us bar bhi dukh bheja tha
aasman walon ne ab ke bhi utara dukh hai
tere hathon ne jo thama hai kisi aur ka hath
meri aankhon ko yahi ek nazara dukh hai
ghar ki tamir ko bas ret mayassar ho jinhen
aise logon ko ye dariya ka kinara dukh hai
hum se inkar-e-mohabbat ka bhala kab tak ho
us ke chehre pe ayan saf hamara dukh hai
aisi haalat mein to mar jate hain achchhe achchhe
hum ne jis haal mein is bar guzara dukh hai
hum ne is bar palaT kar nahin dekha us ko
us ne is bar mera nam pukara dukh hai
donon ko ek hi zumre mein rakha hai 'irfan'
hum ne KHushiyan na sanwari na sanwara dukh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.