dukh ke andhe kuen mein Dal hamein
dukh ke andhe kueñ meñ Daal hameñ
maut aa.egī lā-zavāl hameñ
jā bhī dekho muhīb saa.e haiñ
is aziyyat se tū nikāl hameñ
hai ye shāyad guzar mohabbat kī
rāste lag rahe haiñ laal hameñ
manzileñ chhoḌ rahbarān-e-junūñ
tū to bas is ghaḌī sañbhāl hameñ
ishq meñ ranj-o-āh-e-sozāñ hai
ab batātā hai ye hilāl hameñ
gaañv se terā kuuch karte hī
saañs lenā huā muhāl hameñ
dukh ke andhe kuen mein Dal hamein
maut aaegi la-zawal hamein
ja bhi dekho muhib sae hain
is aziyyat se tu nikal hamein
hai ye shayad guzar mohabbat ki
raste lag rahe hain lal hamein
manzilen chhoD rahbaran-e-junun
tu to bas is ghaDi sanbhaal hamein
ishq mein ranj-o-ah-e-sozan hai
ab batata hai ye hilal hamein
ganw se tera kuch karte hi
sans lena hua muhaal hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.