dukh kitne hain gham kitne hain aalam kitne hain
dukh kitne haiñ ġham kitne haiñ ālām kitne haiñ
ai 'ishq tire aaj bhī ikrām haiñ kitne
aañsū bhī haiñ aaheñ bhī haiñ jagrāte bhī yaaro
ik chhoTe se jīvan pe ye in'ām haiñ kitne
ulfat kaho chāhat kaho yā 'ishq kaho to
bas ek mohabbat hai magar naam haiñ kitne
merī ho nahīñ ho yā ho tum aur kisī kī
ik aañkh kī jumbish meñ hī ib.hām kitne
tū hai ki nahīñ hai jo kahīñ hai to kahāñ hai
kuchh zehnoñ meñ baiThe hue auhām haiñ kitne
kartā huuñ bazāhir to faqat ek kī puujā
mat pūchho ki dil meñ mire asnām haiñ kitne
dukh kitne hain gham kitne hain aalam kitne hain
ai 'ishq tere aaj bhi ikram hain kitne
aansu bhi hain aahen bhi hain jagraate bhi yaro
ek chhoTe se jiwan pe ye in'am hain kitne
ulfat kaho chahat kaho ya 'ishq kaho to
bas ek mohabbat hai magar nam hain kitne
meri ho nahin ho ya ho tum aur kisi ki
ek aankh ki jumbish mein hi ibham kitne
tu hai ki nahin hai jo kahin hai to kahan hai
kuchh zehnon mein baiThe hue auham hain kitne
karta hun bazahir to faqat ek ki puja
mat puchho ki dil mein mere asnam hain kitne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.