dukh mein lipTa hua satae badan
dukh meñ lipTā huā satā.e badan
maiñ pukārā chalūñ ki haa.e badan
ye badan apne saath le jaa.e
aur apnā vo chhoḌ jaa.e badan
pahle gūñdhā gayā ḳhamīr un kā
phir ḳhudā ne kahīñ banā.e badan
ruuh parvāz kar ga.ī merī
aur kahtī rahī ki haa.e badan
ik parinda kisī kī hijrat kā
noch kar le gayā qabā-e-badan
terī ulfat kī dāstāñ ham ko
aa ke ik roz to sunā.e badan
muskurā.ūñ maiñ us kī hālat par
merī hālat pe muskurā.e badan
dukh mein lipTa hua satae badan
main pukara chalun ki hae badan
ye badan apne sath le jae
aur apna wo chhoD jae badan
pahle gundha gaya KHamir un ka
phir KHuda ne kahin banae badan
ruh parwaz kar gai meri
aur kahti rahi ki hae badan
ek parinda kisi ki hijrat ka
noch kar le gaya qaba-e-badan
teri ulfat ki dastan hum ko
aa ke ek roz to sunae badan
muskuraun main us ki haalat par
meri haalat pe muskurae badan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.