dukh mein mahrum aas thoDi hain
dukh meñ mahrūm aas thoḌī haiñ
mere sab sher yaas thoḌī haiñ
ye jo pahne haiñ qīmtī poshāk
un ke apne libās thoḌī haiñ
un kī yādeñ haiñ aur maiñ huuñ bas
vo mire ās-pās thoḌī haiñ
ik samundar ke suukh jaane se
saat dariyā udaas thoḌī haiñ
jitne ḳhud-sāḳhta haiñ ye naqqād
saare 'ġhālib'-shanās thoḌī haiñ
dukh mein mahrum aas thoDi hain
mere sab sher yas thoDi hain
ye jo pahne hain qimti poshak
un ke apne libas thoDi hain
un ki yaaden hain aur main hun bas
wo mere aas-pas thoDi hain
ek samundar ke sukh jaane se
sat dariya udas thoDi hain
jitne KHud-saKHta hain ye naqqad
sare 'ghaalib'-shanas thoDi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.