dukh mein mera hua kare koi
dukh meñ merā huā kare koī
mere sañg sañg chalā kare koī
maiñ azal se huuñ aaj tak tanhā
mere dukh kī davā kare koī
falsafe to samajh se bāhar haiñ
saadī bāteñ kiyā kare koī
merā dukh bhī bhalā koī dukh hai
tere dukh kī davā kare koī
yuuñ to kahne ko sab hī haiñ apne
apnā sach-much huā kare koī
qatl us ne kiyā hai nazroñ se
aise qātil kā kyā kare koī
merī kashtī bachā.ī hai rab ne
nāḳhudā terā kyā kare koī
marne vāloñ ko mil gayā ārām
zinda lāshoñ kā kyā kare koī
ḳhud to sarkash hai aur kahtā hai
mujh se jhuk kar milā kare koī
aap kā ho gayā huuñ maiñ 'sāhil'
aa ke itnā kahā kare koī
dukh mein mera hua kare koi
mere sang sang chala kare koi
main azal se hun aaj tak tanha
mere dukh ki dawa kare koi
falsafe to samajh se bahar hain
sadi baaten kiya kare koi
mera dukh bhi bhala koi dukh hai
tere dukh ki dawa kare koi
yun to kahne ko sab hi hain apne
apna sach-much hua kare koi
qatl us ne kiya hai nazron se
aise qatil ka kya kare koi
meri kashti bachai hai rab ne
naKHuda tera kya kare koi
marne walon ko mil gaya aaram
zinda lashon ka kya kare koi
KHud to sarkash hai aur kahta hai
mujh se jhuk kar mila kare koi
aap ka ho gaya hun main 'sahil'
aa ke itna kaha kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.