dukh se KHushiyan kashid karna hai
dukh se ḳhushiyāñ kashīd karnā hai
is tarah ham ko iid karnā hai
apne hāthoñ se deñge ḳhud hī kafan
ḳhud hī dil ko shahīd karnā hai
tujh se milnā hai ab ḳhayāloñ meñ
terī ḳhvāboñ meñ diid karnā hai
us kā kahnā hai muddatoñ ke baa'd
na.e va.ade va.ii.d karnā hai
itnī jaldī na kar muravvat meñ
zulm mujh pe mazīd karnā hai
dukh se KHushiyan kashid karna hai
is tarah hum ko id karna hai
apne hathon se denge KHud hi kafan
KHud hi dil ko shahid karna hai
tujh se milna hai ab KHayalon mein
teri KHwabon mein did karna hai
us ka kahna hai muddaton ke ba'd
nae wade waid karna hai
itni jaldi na kar murawwat mein
zulm mujh pe mazid karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.