dukh to ye hai zindagi ka KHwab pura rah gaya
dukh to ye hai zindagī kā ḳhvāb puurā rah gayā
tū mukammal ho ga.ī aur maiñ adhūrā rah gayā
mujh ko bachpan se hī logoñ kī samajh aane lagī
so kisī ne baat jo bhī kī maiñ zer-e-tah gayā
ab mire andar ḳhas-o-ḳhāshāk tak baaqī nahīñ
ashk ban kar vo mirī āñkhoñ se itnā bah gayā
mujh sā bad-qismat na koī hogā tere shahr meñ
jo gharauñdā ḳhvāb kā maiñ ne banāyā Dhah gayā
sochtā huuñ chup lagī shakloñ kī hālat dekh kar
bach gayā vo jis ke muñh meñ jo bhī aa.ī kah gayā
ab mujhe vo zaḳhm de jo maut kā bā'is bane
varna terā hijr to merā kaleja sah gayā
dukh to ye hai zindagi ka KHwab pura rah gaya
tu mukammal ho gai aur main adhura rah gaya
mujh ko bachpan se hi logon ki samajh aane lagi
so kisi ne baat jo bhi ki main zer-e-tah gaya
ab mere andar KHas-o-KHashak tak baqi nahin
ashk ban kar wo meri aankhon se itna bah gaya
mujh sa bad-qismat na koi hoga tere shahr mein
jo gharaunda KHwab ka main ne banaya Dhah gaya
sochta hun chup lagi shaklon ki haalat dekh kar
bach gaya wo jis ke munh mein jo bhi aai kah gaya
ab mujhe wo zaKHm de jo maut ka ba'is bane
warna tera hijr to mera kaleja sah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.