dukh tu deta hai karun main tujhko hairan to sahi
dukh tu deta hai karun main tujhko hairan to sahi
Inamullah Khan Yaqeen
MORE BYInamullah Khan Yaqeen
dukh tū detā hai karūñ maiñ tujh ko hairāñ to sahī
bāġhbāñ ab ke ujāḌe tū gulistāñ to sahī
abr meñ detā nahīñ tū mujh ko ai saaqī sharāb
maiñ karūñ shīshe ko tere sang-bārāñ to sahī
ab to nāseh ke ta.iiñ siine do merā chāk-e-jeb
tār-tār is zid se kar duuñ maiñ garebāñ to sahī
log kab ḳhātir meñ laate haiñ mire vīrāne ko
ashk-e-ḳhūñ se baaġh kar Dālūñ bayābāñ to sahī
apne bandoñ ko jalā kar ḳhaak karte haiñ 'yaqīñ'
in butoñ kī zid se ho jā.ūñ musalmāñ to sahī
dukh tu deta hai karun main tujh ko hairan to sahi
baghban ab ke ujaDe tu gulistan to sahi
abr mein deta nahin tu mujh ko ai saqi sharab
main karun shishe ko tere sang-baran to sahi
ab to naseh ke tain sine do mera chaak-e-jeb
tar-tar is zid se kar dun main gareban to sahi
log kab KHatir mein late hain mere virane ko
ashk-e-KHun se bagh kar Dalun bayaban to sahi
apne bandon ko jala kar KHak karte hain 'yaqin'
in buton ki zid se ho jaun musalman to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.