dukhana mere dil ka achchha na tha
dukhānā mire dil kā achchhā na thā
tumheñ ye kisī tarah zebā na thā
qayāmat thī mere liye zindagī
tire ġham kā jab tak sahārā na thā
ġham-e-zindagī sāmne aa gayā
abhī ham ne duniyā ko dekhā na thā
sunāte kise aah rūdād-e-dil
tirī bazm meñ koī apnā na thā
na aayā tire ābla-pā ko raas
vo jaada jahāñ koī kāñTā na thā
vo nazreñ bhī shāriq badal jā.eñgī
ye ham ne kabhī aah sochā na thā
dukhana mere dil ka achchha na tha
tumhein ye kisi tarah zeba na tha
qayamat thi mere liye zindagi
tere gham ka jab tak sahaara na tha
gham-e-zindagi samne aa gaya
abhi hum ne duniya ko dekha na tha
sunate kise aah rudad-e-dil
teri bazm mein koi apna na tha
na aaya tere aabla-pa ko ras
wo jada jahan koi kanTa na tha
wo nazren bhi shaariq badal jaengi
ye hum ne kabhi aah socha na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.