dukhati hai dil phir mohabbat kisi ki
dukhātī hai dil phir mohabbat kisī kī
ki āñkhoñ meñ phirtī hai sūrat kisī kī
na pūchho ye haiñ sikka-e-dāġh kis ke
ye daulat milī hai badaulat kisī kī
pur-armān ahbāb duniyā se uTThe
falak ne nikālī na hasrat kisī kī
ye 'ālam hai apnā ki kahtā hai 'ālam
ilāhī na ho aisī hālat kisī kī
'ajab be-muravvat se paalā paḌā hai
kahāñ tak kare koī minnat kisī kī
uḌā le ga.ī sarv se qumriyoñ ko
qayāmat hai buuTā sī qāmat kisī kī
maiñ is dil kā sāthī nahīñ 'āshiqī meñ
balā merī le sar par aafat kisī kī
nazar meñ haiñ yārān-e-rafta ke jalse
ḳhush aatī nahīñ mujh ko sohbat kisī kī
vo kyā din the ai dil tujhe yaad hai kuchh
vo merī ḳhushāmad vo naḳhvat kisī kī
bahut bad hai ai 'ishq sarkār tere
na 'izzat kisī kī na hurmat kisī kī
shikanje meñ rahtā hai dil aadmī kā
ḳhudā band rakkhe na hājat kisī kī
kahe mujh ko jo jis kā jī chāhe lekin
kabhī mujh se hogī na ġhībat kisī kī
'abas 'bahr' marte ho tum har kisī par
mubārak nahīñ tum ko chāhat kisī kī
dukhati hai dil phir mohabbat kisi ki
ki aankhon mein phirti hai surat kisi ki
na puchho ye hain sikka-e-dagh kis ke
ye daulat mili hai badaulat kisi ki
pur-arman ahbab duniya se uTThe
falak ne nikali na hasrat kisi ki
ye 'alam hai apna ki kahta hai 'alam
ilahi na ho aisi haalat kisi ki
'ajab be-murawwat se pala paDa hai
kahan tak kare koi minnat kisi ki
uDa le gai sarw se qumriyon ko
qayamat hai buTa si qamat kisi ki
main is dil ka sathi nahin 'ashiqi mein
bala meri le sar par aafat kisi ki
nazar mein hain yaran-e-rafta ke jalse
KHush aati nahin mujh ko sohbat kisi ki
wo kya din the ai dil tujhe yaad hai kuchh
wo meri KHushamad wo naKHwat kisi ki
bahut bad hai ai 'ishq sarkar tere
na 'izzat kisi ki na hurmat kisi ki
shikanje mein rahta hai dil aadmi ka
KHuda band rakkhe na hajat kisi ki
kahe mujh ko jo jis ka ji chahe lekin
kabhi mujh se hogi na ghibat kisi ki
'abas 'bahr' marte ho tum har kisi par
mubarak nahin tum ko chahat kisi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.