dukhi dilon ka sahaara jahan mein koi nahin
dukhī diloñ kā sahārā jahāñ meñ koī nahīñ
hamāre dard kā chārā jahāñ meñ koī nahīñ
giregā kaun tire dar pe aa ke merī tarah
ki aisā baḳht kā maarā jahāñ meñ koī nahīñ
ye 'ishq aisā samundar hai soch lo pahle
ki is kā duujā kinārā jahāñ meñ koī nahīñ
kuchh is liye bhī ḳhudā par yaqīn puḳhta hai
sivā.e us ke hamārā jahāñ meñ koī nahīñ
hañsī-ḳhushī hī jiyo zindagī ke sab lamhe
palaT ke aayā dubāra jahāñ meñ koī nahīñ
sunegā kaun tumhārī kise pukārte ho
nahīñ hai 'shams' tumhārā jahāñ meñ koī nahīñ
dukhi dilon ka sahaara jahan mein koi nahin
hamare dard ka chaara jahan mein koi nahin
girega kaun tere dar pe aa ke meri tarah
ki aisa baKHt ka mara jahan mein koi nahin
ye 'ishq aisa samundar hai soch lo pahle
ki is ka duja kinara jahan mein koi nahin
kuchh is liye bhi KHuda par yaqin puKHta hai
siwae us ke hamara jahan mein koi nahin
hansi-KHushi hi jiyo zindagi ke sab lamhe
palaT ke aaya dubara jahan mein koi nahin
sunega kaun tumhaari kise pukarte ho
nahin hai 'shams' tumhaara jahan mein koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.