dukhon ki jhil nahin hai to zindagi kya hai
dukhoñ kī jhiil nahīñ hai to zindagī kyā hai
har ek aañkh meñ har-vaqt ye namī kyā hai
laTak rahī huuñ maiñ ab tak salīb par us kī
hayāt mujh se bhalā aur chāhtī kyā hai
chahaktī shaam to katrā ke mujh se guzrī thī
guzar ga.ī hai to muḌ muḌ ke dekhtī kyā hai
ḳhushī se apnī anā meñ haiñ qaid ham aise
hameñ ḳhabar bhī nahīñ hai ke zindagī kyā hai
tumhāre lams kā mujh meñ agar ḳhumār nahīñ
to merī jāgtī āñkhoñ meñ niiñd sī kyā hai
dukhon ki jhil nahin hai to zindagi kya hai
har ek aankh mein har-waqt ye nami kya hai
laTak rahi hun main ab tak salib par us ki
hayat mujh se bhala aur chahti kya hai
chahakti sham to katra ke mujh se guzri thi
guzar gai hai to muD muD ke dekhti kya hai
KHushi se apni ana mein hain qaid hum aise
hamein KHabar bhi nahin hai ke zindagi kya hai
tumhaare lams ka mujh mein agar KHumar nahin
to meri jagti aankhon mein nind si kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.