dukhon se aur ghamon se dosti hai
dukhoñ se aur ġhamoñ se dostī hai
haqīqat meñ yahī to zindagī hai
ḳhushī pal bhar magar ġham zindagī bhar
ḳhushī se ġham ziyāda qīmtī hai
agar raushan ho dil siine ke andar
añdherī raat bhī phir chāñdnī hai
gale meñ Dāltā hai hijr bāheñ
udāsī mere paañv chūmtī hai
baḌī muddat huī ham ne 'ḳhalīl' ab
zamāne meñ ḳhushī dekhī nahīñ hai
dukhon se aur ghamon se dosti hai
haqiqat mein yahi to zindagi hai
KHushi pal bhar magar gham zindagi bhar
KHushi se gham ziyaada qimti hai
agar raushan ho dil sine ke andar
andheri raat bhi phir chandni hai
gale mein Dalta hai hijr bahen
udasi mere panw chumti hai
baDi muddat hui hum ne 'KHalil' ab
zamane mein KHushi dekhi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.