duKHtar-e-raz se mulaqat hui hai ki nahin
duḳhtar-e-raz se mulāqāt huī hai ki nahīñ
sach batā de are zāhid kabhī pī hai ki nahīñ
mast saaqī kī nigāhoñ se haiñ piine vaale
is kī parvā nahīñ shīshe kī parī hai ki nahīñ
mast sab uTh ga.e pī kar tire maiḳhāne se
are saaqī mire hisse kī bachī hai ki nahīñ
parda-e-arsh meñ to aap chhupe baiThe haiñ
muttahim maiñ ki mujhe dīda-varī hai ki nahīñ
un ke ghar jaate ho to soch samajh kar jaao
dekh lo pahle vahāñ ġhair koī hai ki nahīñ
merī barbādī-e-dil dekh ke hañsne vaale
kyā tire husn kī daulat bhī luTī hai ki nahīñ
kuchh haqīqat bhī hai yā 'zabt' faqat naam ke ho
sach batāo ki hasīnoñ se nibhī hai ki nahīñ
duKHtar-e-raz se mulaqat hui hai ki nahin
sach bata de are zahid kabhi pi hai ki nahin
mast saqi ki nigahon se hain pine wale
is ki parwa nahin shishe ki pari hai ki nahin
mast sab uTh gae pi kar tere maiKHane se
are saqi mere hisse ki bachi hai ki nahin
parda-e-arsh mein to aap chhupe baiThe hain
muttahim main ki mujhe dida-wari hai ki nahin
un ke ghar jate ho to soch samajh kar jao
dekh lo pahle wahan ghair koi hai ki nahin
meri barbaadi-e-dil dekh ke hansne wale
kya tere husn ki daulat bhi luTi hai ki nahin
kuchh haqiqat bhi hai ya 'zabt' faqat nam ke ho
sach batao ki hasinon se nibhi hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.