duniya agar jalaegi to kya jalunga main
duniyā agar jalā.egī to kyā jalūñgā maiñ
haañ tum jalā rahe ho to achchhā jalūñgā maiñ
ashkoñ kī vo kamī ki badan ḳhushk ho chukā
is baar jal uThūñgā to saarā jalūñgā maiñ
tum jal nahīñ sake to havā.eñ hī rok lo
kab tak in āñdhiyoñ meñ akelā jalūñgā maiñ
huuñ ashk-bār mujh ko abhī mat jalā.iye
hogā dhuāñ ziyāda jo giilā jalūñgā maiñ
ab aise kyā batā.ūñ ye andāza hai mirā
barsāt ke hisāb se ḳhāsā jalūñgā maiñ
duniya agar jalaegi to kya jalunga main
han tum jala rahe ho to achchha jalunga main
ashkon ki wo kami ki badan KHushk ho chuka
is bar jal uThunga to sara jalunga main
tum jal nahin sake to hawaen hi rok lo
kab tak in aandhiyon mein akela jalunga main
hun ashk-bar mujh ko abhi mat jalaiye
hoga dhuan ziyaada jo gila jalunga main
ab aise kya bataun ye andaza hai mera
barsat ke hisab se KHasa jalunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.