duniya ajib thi na zamana ajib tha
duniyā ajiib thī na zamāna ajiib thā
un se ta'alluqāt nibhānā ajiib thā
ab tak ḳhalish hai baaqī zamān-o-makān meñ
ahvāl-e-dil kisī ko sunānā ajiib thā
ḳhushbū uḌā ke le ga.ī bād-e-sabā ġhalat
sehn-e-chaman meñ bhañvaroñ kā aanā ajiib thā
ye tarz-e-bandagī to nahīñ thā ḳhatā muaaf
naqsh-e-qadam ko sar pa uThānā ajiib thā
sun kar jise zamāna bhī hairat-zada huā
teshe ne jo likhā vo fasāna ajiib thā
mehr-o-vafā ke zikr pa kahnā paḌā mujhe
un kī nazar meñ merā Thikāna ajiib thā
vo pāk-bāz thā ki na thā ye ḳhabar nahīñ
lekin mirā fareb meñ aanā ajiib thā
bas vo hī vo the un kī hī sūrat thī har taraf
yādoñ kā merī ā.ina-ḳhāna ajiib thā
vo bhī hai kuchh ajiib 'rasā' mil gayā hai jo
jo kho gayā hai vo bhī ḳhazāna ajiib thā
duniya ajib thi na zamana ajib tha
un se ta'alluqat nibhana ajib tha
ab tak KHalish hai baqi zaman-o-makan mein
ahwal-e-dil kisi ko sunana ajib tha
KHushbu uDa ke le gai baad-e-saba ghalat
sehn-e-chaman mein bhanwaron ka aana ajib tha
ye tarz-e-bandagi to nahin tha KHata muaf
naqsh-e-qadam ko sar pa uThana ajib tha
sun kar jise zamana bhi hairat-zada hua
teshe ne jo likha wo fasana ajib tha
mehr-o-wafa ke zikr pa kahna paDa mujhe
un ki nazar mein mera Thikana ajib tha
wo pak-baz tha ki na tha ye KHabar nahin
lekin mera fareb mein aana ajib tha
bas wo hi wo the un ki hi surat thi har taraf
yaadon ka meri aaina-KHana ajib tha
wo bhi hai kuchh ajib 'rasa' mil gaya hai jo
jo kho gaya hai wo bhi KHazana ajib tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.