duniya-dari to kya aati daman sina sikh liya
duniya-dari to kya aati daman sina sikh liya
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
duniyā-dārī to kyā aatī dāman siinā siikh liyā
marne ke the laakh bahāne phir bhī jiinā siikh liyā
aise darveshoñ se bhī nibhā.ī apnī hañsī bhī saath uḌaa.ī
palkoñ ke saa.e meñ chhup kar aañsū piinā siikh liyā
dhartī kitne naach nachā.e tab ik kauḌī jeb meñ aa.e
eḌī se choTī tak pahuñche kaise pasīna siikh liyā
apne aap pe kyoñ itrā.eñ apne aap ko kuchh samjhā.eñ
kabhī kabhī hai jhūTh bhī kahtā ye ā.īna siikh liyā
duniya-dari to kya aati daman sina sikh liya
marne ke the lakh bahane phir bhi jina sikh liya
aise darweshon se bhi nibhai apni hansi bhi sath uDai
palkon ke sae mein chhup kar aansu pina sikh liya
dharti kitne nach nachae tab ek kauDi jeb mein aae
eDi se choTi tak pahunche kaise pasina sikh liya
apne aap pe kyon itraen apne aap ko kuchh samjhaen
kabhi kabhi hai jhuTh bhi kahta ye aaina sikh liya
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 33)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.