duniya-e-dani hai matlab ki sab rishte nate toD diye
duniya-e-dani hai matlab ki sab rishte nate toD diye
Jarrar Chhaulisi
MORE BYJarrar Chhaulisi
duniyā-e-danī hai matlab kī sab rishte naate toḌ diye
ab ḳhud pe bharosa karnā hai jitne the sahāre chhoḌ diye
ab dil se dil kā milnā kyā bas haath milānā kaafī hai
derīna taur tarīqoñ ne chalte chalte dam toḌ diye
duniyā-e-mohabbat ke andar nafrat kā añdherā jin se baḌhe
us daur-e-taraqqī ke aise jitne haiñ uThā kar toḌ diye
jo āñdhiyoñ se Takrā bhī sakeñ zulmat kā fusūñ bhī toḌ sakeñ
tāqoñ meñ sajā kar pahle hī to kuchh aise rakh chhoḌ diye
kyā milnā-julnā aapas meñ ye sab kahne kī bāteñ haiñ
ham dekh chuke is daur ne to dil toḌ diye sar joḌ diye
jab zulm ke tūfāñ umḌe haiñ jab yaas ke bādal chhā.e haiñ
duniyā ko diyā hai azm-e-javāñ tārīḳh ko ham ne moḌ diye
ai daur-e-siyāsat ahd-e-zabūñ 'jarrār' se ye ummīd na rakh
us dar pe jhukā dī peshānī haath us ke aage joḌ diye
duniya-e-dani hai matlab ki sab rishte nate toD diye
ab KHud pe bharosa karna hai jitne the sahaare chhoD diye
ab dil se dil ka milna kya bas hath milana kafi hai
derina taur tariqon ne chalte chalte dam toD diye
duniya-e-mohabbat ke andar nafrat ka andhera jin se baDhe
us daur-e-taraqqi ke aise jitne hain uTha kar toD diye
jo aandhiyon se Takra bhi saken zulmat ka fusun bhi toD saken
taqon mein saja kar pahle hi to kuchh aise rakh chhoD diye
kya milna-julna aapas mein ye sab kahne ki baaten hain
hum dekh chuke is daur ne to dil toD diye sar joD diye
jab zulm ke tufan umDe hain jab yas ke baadal chhae hain
duniya ko diya hai azm-e-jawan tariKH ko hum ne moD diye
ai daur-e-siyasat ahd-e-zabun 'jarrar' se ye ummid na rakh
us dar pe jhuka di peshani hath us ke aage joD diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.