duniya-e-fikr-e-nau ka tamannai ban gaya
duniyā-e-fikr-e-nau kā tamannā.ī ban gayā
har aadmī hayāt kā shaidā.ī ban gayā
jab se dil un kī zulf kā saudā.ī ban gayā
mere liye vo bā.is-e-rusvā.ī ban gayā
vo dil jo apne aap se begāna ho gayā
sach to ye hai ki markaz-e-dānā.ī ban gayā
tūfān-e-ġham se khelegā vo kis tarah bhalā
sāhil pe baiTh kar jo tamāshā.ī ban gayā
us ġham pe hoñ nisār hazāroñ masarrateñ
vo ġham jo vajh-e-sabr-o-shakebā.ī ban gayā
merī nigāh fikr ke sāñche meñ Dhal ga.ī
merā nafas shu.ūr kī gahrā.ī ban gayā
merā ḳhayāl kam nahīñ tere jamāl se
merā ḳhayāl bhī tirī añgḌā.ī ban gayā
merā ḳhulūs merā amal tere ishq meñ
doshīza-e-hayāt kī ra.anā.ī ban gayā
vo iztirāb-e-shauq jise zindagī kaheñ
dil kā sukūñ nazar kā tavānā.ī ban gayā
kyūñkar na ho kamāl kā jauhar liye hue
ā.īna tere husn kī yaktā.ī ban gayā
jo mujh ko merī ḳhalvat-e-ġham se milā 'nigār'
vo ḳhvāb rūh-e-anjuman-ārā.ī ban gayā
duniya-e-fikr-e-nau ka tamannai ban gaya
har aadmi hayat ka shaidai ban gaya
jab se dil un ki zulf ka saudai ban gaya
mere liye wo bais-e-ruswai ban gaya
wo dil jo apne aap se begana ho gaya
sach to ye hai ki markaz-e-danai ban gaya
tufan-e-gham se khelega wo kis tarah bhala
sahil pe baiTh kar jo tamashai ban gaya
us gham pe hon nisar hazaron masarraten
wo gham jo wajh-e-sabr-o-shakebai ban gaya
meri nigah fikr ke sanche mein Dhal gai
mera nafas shuur ki gahrai ban gaya
mera KHayal kam nahin tere jamal se
mera KHayal bhi teri angDai ban gaya
mera KHulus mera amal tere ishq mein
doshiza-e-hayat ki ranai ban gaya
wo iztirab-e-shauq jise zindagi kahen
dil ka sukun nazar ka tawanai ban gaya
kyunkar na ho kamal ka jauhar liye hue
aaina tere husn ki yaktai ban gaya
jo mujh ko meri KHalwat-e-gham se mila 'nigar'
wo KHwab ruh-e-anjuman-arai ban gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.