duniya-e-hast-o-bud se aage ki baat kar
duniyā-e-hast-o-būd se aage kī baat kar
ai ruuh ab vajūd se aage kī baat kar
mujh ko kitāb-e-kun kā har ik baab hifz hai
tū aa'd aur samūd se aage kī baat kar
mujh ko farāz-e-ishq batā vā.iz-e-azīz
ab zohd se sujūd se aage kī baat kar
is daur meñ shahīd ke vāris ko maal de
phir shāhid-o-shuhūd se aage kī baat kar
lab khol ilm-o-fan ke ḳhazāne luTā faqīr
is multajī numūd se aage kī baat kar
'ehrām' zindagī kā bharosa nahīñ koī
kuchh to ziyān-o-sūd se aage kī baat kar
duniya-e-hast-o-bud se aage ki baat kar
ai ruh ab wajud se aage ki baat kar
mujh ko kitab-e-kun ka har ek bab hifz hai
tu aa'd aur samud se aage ki baat kar
mujh ko faraaz-e-ishq bata waiz-e-aziz
ab zohd se sujud se aage ki baat kar
is daur mein shahid ke waris ko mal de
phir shahid-o-shuhud se aage ki baat kar
lab khol ilm-o-fan ke KHazane luTa faqir
is multaji numud se aage ki baat kar
'ehram' zindagi ka bharosa nahin koi
kuchh to ziyan-o-sud se aage ki baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.