duniya-e-husn-o-ishq ka ulTa hisab hai
duniyā-e-husn-o-ishq kā ulTā hisāb hai
nā-kāmyāb hai jo yahāñ kāmyāb hai
ahl-e-vafā pe roz-e-azal se itaab hai
duniyā ḳharāb hai na zamāna ḳharāb hai
rū-e-hasīñ pe un ke jalāl-o-jamāl kī
ik aur hai naqāb jo zer-e-naqāb hai
itnī bhī duur rahne kī koshish na kījiye
is ijtināb kā to mohabbat javāb hai
jis ke varaq varaq pe hai tafsīr-e-kā.enāt
ye zindagī ik aisī mukammal kitāb hai
ab dil meñ yād-e-māzī-e-marhūm bhī nahīñ
kitnā hasīñ fareb nayā inqalāb hai
'yaktā' ġhazal meñ jazba-e-bedār chāhiye
insān kā zamīr abhī mahv-e-ḳhvāb hai
duniya-e-husn-o-ishq ka ulTa hisab hai
na-kaamyab hai jo yahan kaamyab hai
ahl-e-wafa pe roz-e-azal se itab hai
duniya KHarab hai na zamana KHarab hai
ru-e-hasin pe un ke jalal-o-jamal ki
ek aur hai naqab jo zer-e-naqab hai
itni bhi dur rahne ki koshish na kijiye
is ijtinab ka to mohabbat jawab hai
jis ke waraq waraq pe hai tafsir-e-kaenat
ye zindagi ek aisi mukammal kitab hai
ab dil mein yaad-e-mazi-e-marhum bhi nahin
kitna hasin fareb naya inqalab hai
'yakta' ghazal mein jazba-e-bedar chahiye
insan ka zamir abhi mahw-e-KHwab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.