duniya-e-ishq mein kisi qabil nahin raha
duniyā-e-ishq meñ kisī qābil nahīñ rahā
jo dil tirī nazar se girā dil nahīñ rahā
le jā rahā hai shauq chalā jā rahā huuñ maiñ
ab imtiyāz-e-jāda-o-manzil nahīñ rahā
tārīk ho gayā hai zamāna nigāh meñ
pahlū meñ jab se vo mah-e-kāmil nahīñ rahā
kyoñ mai-kashoñ pe uThtī haiñ duniyā kī uñgliyāñ
ḳhud shaiḳh ehtirām ke qābil nahīñ rahā
ab kyūñkar un ko la.al-e-badaḳhshāñ kahe koī
jab dil kā ḳhuun ashkoñ meñ shāmil nahīñ rahā
e.ajāz merī chashm-e-haqīqat-nigar kā dekh
ab koī parda parda-e-hā.il nahīñ rahā
'shaidā' kahāñ vo aish vo ishrat vo imbisāt
mahfil meñ jab vo zīnat-e-mahfil nahīñ rahā
duniya-e-ishq mein kisi qabil nahin raha
jo dil teri nazar se gira dil nahin raha
le ja raha hai shauq chala ja raha hun main
ab imtiyaz-e-jada-o-manzil nahin raha
tarik ho gaya hai zamana nigah mein
pahlu mein jab se wo mah-e-kaamil nahin raha
kyon mai-kashon pe uThti hain duniya ki ungliyan
KHud shaiKH ehtiram ke qabil nahin raha
ab kyunkar un ko lal-e-badaKHshan kahe koi
jab dil ka KHun ashkon mein shamil nahin raha
eajaz meri chashm-e-haqiqat-nigar ka dekh
ab koi parda parda-e-hail nahin raha
'shaida' kahan wo aish wo ishrat wo imbisat
mahfil mein jab wo zinat-e-mahfil nahin raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.