duniya ghume kya kya dekha
duniyā ghūme kyā kyā dekhā
koī na ham ne tum sā dekhā
shab-bhar dekhe ḳhvāb tire
din-bhar terā rasta dekhā
tū us pal thā sāmne mere
maiñ ne jab ā.īna dekhā
nahr kināre baiThe the ham
maiñ ne phir vo sapnā dekhā
dil kā shīsha saaf kiyā to
is meñ terā chehra dekhā
in āñkhoñ ke andar 'jāzib'
duniyā ghar kā naqsha dekhā
duniya ghume kya kya dekha
koi na hum ne tum sa dekha
shab-bhar dekhe KHwab tere
din-bhar tera rasta dekha
tu us pal tha samne mere
main ne jab aaina dekha
nahr kinare baiThe the hum
main ne phir wo sapna dekha
dil ka shisha saf kiya to
is mein tera chehra dekha
in aankhon ke andar 'jazib'
duniya ghar ka naqsha dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.