duniya hai ahl-e-ishq ko sab se buri jagah
duniyā hai ahl-e-'ishq ko sab se burī jagah
DhūñDheñ ḳhudā ke vāste koī na.ī jagah
thā ik hasīñ gunāh usī kī sazā ke taur
ābād kī ga.ī hai ye bekār sī jagah
kyā kah ke us ne dil se nikālā hai haa.e haa.e
ab kyā tamām 'umr rahoge isī jagah
māhauliyāt kā ye tavāzun hai kul mazāq
insāñ kahīñ kahīñ haiñ darinde sabhī jagah
chup-chāp yūñhī nār-e-havas meñ paḌe raho
hogī na is bahisht se achchhī koī jagah
ab mere ai’takāf pe vo bhī haiñ mo'tariz
aa jā chuke haiñ ḳhud jo har achchhī burī jagah
ik dūsre se dil to hamāre bhare nahīñ
duniyā ne ab bhī gher rakhī hai baḌī jagah
duniya hai ahl-e-'ishq ko sab se buri jagah
DhunDhen KHuda ke waste koi nai jagah
tha ek hasin gunah usi ki saza ke taur
aabaad ki gai hai ye bekar si jagah
kya kah ke us ne dil se nikala hai hae hae
ab kya tamam 'umr rahoge isi jagah
mahauliyat ka ye tawazun hai kul mazaq
insan kahin kahin hain darinde sabhi jagah
chup-chap yunhi nar-e-hawas mein paDe raho
hogi na is bahisht se achchhi koi jagah
ab mere ai’takaf pe wo bhi hain mo'tariz
aa ja chuke hain KHud jo har achchhi buri jagah
ek dusre se dil to hamare bhare nahin
duniya ne ab bhi gher rakhi hai baDi jagah
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 130)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.