duniya-jahan ke jam chhalak jaen ret par
duniyā-jahāñ ke jaam chhalak jaa.eñ ret par
kyā kījiye ki hoñT bahak jaa.eñ ret par
paanī kī chaah bhī ho samundar kā ḳhauf bhī
lahroñ ke saath saath humak jaa.eñ ret par
go laakh sīpiyoñ meñ samundar key qaid hoñ
motī vahī jo phir bhī jhalak jaa.eñ ret par
kaasa har ik sadaf kā luTā jaa.e ashrafī
la.al-o-javāharāt khanak jaa.eñ ret par
Tuk aañkh tū bhī khol ki dariyā ke lab khuleñ
sātoñ dishā ke daañt chamak jaa.eñ ret par
chhan jaa.eñ ras ke farsh se dhartī ke ġhaar meñ
aur āsmāñ kī chhat se Tapak jaa.eñ ret par
rakhiye safar meñ sab kī tan-āsāniyoñ kī ḳhair
aisā na ho ki ghoḌe bidak jaa.eñ ret par
sargoshiyoñ kī mauj kahāñ le ke jā.egī
ham kuchh agar junūn meñ bak jaa.eñ ret par
sūraj ki āsmāñ pe sitāroñ ko Dhāñp le
zarroñ se āftāb damak jaa.eñ ret par
dil kī dhaḌaktī ḳhaak se sāhil banā.iye
paanī ke paañv aaj thirak jaa.eñ ret par
duniya-jahan ke jam chhalak jaen ret par
kya kijiye ki honT bahak jaen ret par
pani ki chah bhi ho samundar ka KHauf bhi
lahron ke sath sath humak jaen ret par
go lakh sipiyon mein samundar key qaid hon
moti wahi jo phir bhi jhalak jaen ret par
kasa har ek sadaf ka luTa jae ashrafi
lal-o-jawaharaat khanak jaen ret par
Tuk aankh tu bhi khol ki dariya ke lab khulen
saton disha ke dant chamak jaen ret par
chhan jaen ras ke farsh se dharti ke ghaar mein
aur aasman ki chhat se Tapak jaen ret par
rakhiye safar mein sab ki tan-asaniyon ki KHair
aisa na ho ki ghoDe bidak jaen ret par
sargoshiyon ki mauj kahan le ke jaegi
hum kuchh agar junun mein bak jaen ret par
suraj ki aasman pe sitaron ko Dhanp le
zarron se aaftab damak jaen ret par
dil ki dhaDakti KHak se sahil banaiye
pani ke panw aaj thirak jaen ret par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.