duniya jahan se na adu se na yar se
duniyā jahān se na 'adū se na yaar se
mujh ko agar gila hai to parvardigār se
kab tak ḳharīdūñ aur ḳhushī bech kar ke ġham
maiñ tang aa chukā huuñ ab is kārobār se
dhaḌkā kare hai ab to ishāroñ pe ġhair ke
ye dil nikal chukā hai mire iḳhtiyār se
'sangīt' ab to merā bharosa hī uTh gayā
tauba hai 'ishq-vishq vafā pyār-vyār se
duniya jahan se na 'adu se na yar se
mujh ko agar gila hai to parwardigar se
kab tak KHaridun aur KHushi bech kar ke gham
main tang aa chuka hun ab is karobar se
dhaDka kare hai ab to ishaaron pe ghair ke
ye dil nikal chuka hai mere iKHtiyar se
'sangit' ab to mera bharosa hi uTh gaya
tauba hai 'ishq-wishq wafa pyar-wyar se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.