duniya ka wabaal bhi rahega
duniyā kā vabāl bhī rahegā
kuchh apnā ḳhayāl bhī rahegā
sho.aloñ se tujhe guzār deñge
ham se ye kamāl bhī rahegā
bāñhoñ meñ simaT ke husn terā
kuchh der niDhāl bhī rahegā
ai jaan tujhe ḳharāb kar ke
thoḌā sā malāl bhī rahegā
mujh ko tirī nāzukī kā ehsās
daurān-e-visāl bhī rahegā
duniya ka wabaal bhi rahega
kuchh apna KHayal bhi rahega
shoalon se tujhe guzar denge
hum se ye kamal bhi rahega
banhon mein simaT ke husn tera
kuchh der niDhaal bhi rahega
ai jaan tujhe KHarab kar ke
thoDa sa malal bhi rahega
mujh ko teri nazuki ka ehsas
dauran-e-visal bhi rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.