duniya ka zarra zarra miyan ishq ishq hai
duniyā kā zarra zarra miyāñ ishq ishq hai
adnā ho yā ho aalā yahāñ ishq ishq hai
jis roz ham ne ḳhvāb meñ dekhā thā aap ko
us roz se hamārā makāñ ishq ishq hai
duniyā isī liye to samajh hī nahīñ sakī
yaaro hamāre dil kī zabāñ ishq ishq hai
aañsū jo terī yaad meñ Tapkā thā ek shab
ruḳhsār par jo hai ye nishāñ ishq ishq hai
'salmān' kaise likkhegā us ke jamāl ko
inkār se bhī jis ke ayaañ ishq ishq hai
duniya ka zarra zarra miyan ishq ishq hai
adna ho ya ho aala yahan ishq ishq hai
jis roz hum ne KHwab mein dekha tha aap ko
us roz se hamara makan ishq ishq hai
duniya isi liye to samajh hi nahin saki
yaro hamare dil ki zaban ishq ishq hai
aansu jo teri yaad mein Tapka tha ek shab
ruKHsar par jo hai ye nishan ishq ishq hai
'salman' kaise likkhega us ke jamal ko
inkar se bhi jis ke ayan ishq ishq hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.