duniya ke aish aur sabhi aaram chhoD kar
duniyā ke 'aish aur sabhī ārām chhoḌ kar
aayā thā tere vāste sau kaam chhoḌ kar
ik shaḳhs duur mujh se achānak chalā gayā
sar par mire hazāroñ hī ilzām chhoḌ kar
kuchh aur is jahāñ ko maiñ de hī na pā.ūñgā
jā.ūñgā sirf apnā yahāñ naam chhoḌ kar
dukh dard jaise apnā muqaddar hī ban gayā
jā.ūñ kahāñ ye gardish-e-ayyām chhoḌ kar
'sangīt' ho sake to mohabbat kā jaanā tum
duniyā ko ek āḳhirī paiġhām chhoḌ kar
duniya ke 'aish aur sabhi aaram chhoD kar
aaya tha tere waste sau kaam chhoD kar
ek shaKHs dur mujh se achanak chala gaya
sar par mere hazaron hi ilzam chhoD kar
kuchh aur is jahan ko main de hi na paunga
jaunga sirf apna yahan nam chhoD kar
dukh dard jaise apna muqaddar hi ban gaya
jaun kahan ye gardish-e-ayyam chhoD kar
'sangit' ho sake to mohabbat ka jaana tum
duniya ko ek aaKHiri paigham chhoD kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.