duniya ke imtihan mein kya kya sila mila
duniyā ke imtihān meñ kyā kyā sila milā
lamha-ba-lamha ek nayā hādisa milā
ḳhud-bīn-o-ḳhud-shanās hai vo is liye mujhe
vo shaḳhs jab kabhī milā ġham-āshnā milā
lahroñ ke sivā kuchh bhī na thā duur duur tak
tūfāñ meñ kināra to nahīñ haañ ḳhudā milā
maiñ kyā batā.ūñ kitne ta.ajjub kī baat thī
jab bevafā maiñ mujh ko nishān-e-vafā milā
'faisal' farebī yāroñ kī hone lagī hai zid
dil ke qarīb jo bhī thā vo ḳhud-numā milā
duniya ke imtihan mein kya kya sila mila
lamha-ba-lamha ek naya hadisa mila
KHud-bin-o-KHud-shanas hai wo is liye mujhe
wo shaKHs jab kabhi mila gham-ashna mila
lahron ke siwa kuchh bhi na tha dur dur tak
tufan mein kinara to nahin han KHuda mila
main kya bataun kitne tajjub ki baat thi
jab bewafa main mujh ko nishan-e-wafa mila
'faisal' farebi yaron ki hone lagi hai zid
dil ke qarib jo bhi tha wo KHud-numa mila
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.