duniya ke janjal na puchh
duniyā ke janjāl na pūchh
tujh bin merā haal na pūchh
kis ne liyā sar āñkhoñ par
kis ne kiyā pāmāl na pūchh
us kī āñkhoñ ko tū paḌh
kyuuñ hai chehra laal na pūchh
bikhar gayā reza reza
jīvan kā bhauñchāl na pūchh
mustaqbil ke sapne dekh
biite māh-o-sāl na pūchh
tū jo chāhe hukm sunā
mujh se mire a.amāl na pūchh
'mīr' ke ghar kī hālat dekh
mere ghar kā haal na pūchh
jis ne bachāyā ḳhanjar se
kis kī thī vo Dhaal na pūchh
kaise deñ bachchoñ ko 'azīz'
sabzī roTī daal na pūchh
duniya ke janjal na puchh
tujh bin mera haal na puchh
kis ne liya sar aankhon par
kis ne kiya pamal na puchh
us ki aankhon ko tu paDh
kyun hai chehra lal na puchh
bikhar gaya reza reza
jiwan ka bhaunchaal na puchh
mustaqbil ke sapne dekh
bite mah-o-sal na puchh
tu jo chahe hukm suna
mujh se mere aamal na puchh
'mir' ke ghar ki haalat dekh
mere ghar ka haal na puchh
jis ne bachaya KHanjar se
kis ki thi wo Dhaal na puchh
kaise den bachchon ko 'aziz'
sabzi roTi dal na puchh
- Book : Bole Meri Gazal (Pg. 93)
- Author : Aziz Ansari
- Publication : Aziz Ansari, Station Director Akashvani Jalgaon (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.