duniya ke masail se har waqt ghira hona
duniyā ke masā.il se har vaqt ghirā honā
mushkil to bahut hogā duniyā kā ḳhudā honā
ummīd ke dāman ko chhoḌā bhī nahīñ jaatā
lagtā to hai nā-mumkin va.ade kā vafā honā
jitnī bhī ḳhatā.eñ haiñ yā-rab haiñ javānī kī
jab bas meñ nahīñ hotā achchhā ki burā honā
dashrath kī tarah duniyā chhoḌī bhī nahīñ jaatī
taklīf to detā hai apnoñ se judā honā
bekār banātā hai behāl banātā hai
insān kā apnī hī nazroñ se girā honā
ummīd hai un ko bhī shāyad mire aane kī
itnā to batānā hai darvāze kā vā honā
honā to zarūrī hai har roz ibādat kā
achchhā bhī nahīñ lagtā har roz gila honā
kyā un ko sikhā.egā kyā un ko banā.egā
talvāroñ ke saa.e meñ bachchoñ kā baḌā honā
yāroñ kī mohabbat hai terā bhī karam yā-rab
'parvāz' se insāñ ko har shai kā milā honā
duniya ke masail se har waqt ghira hona
mushkil to bahut hoga duniya ka KHuda hona
ummid ke daman ko chhoDa bhi nahin jata
lagta to hai na-mumkin wade ka wafa hona
jitni bhi KHataen hain ya-rab hain jawani ki
jab bas mein nahin hota achchha ki bura hona
dashrath ki tarah duniya chhoDi bhi nahin jati
taklif to deta hai apnon se juda hona
bekar banata hai behaal banata hai
insan ka apni hi nazron se gira hona
ummid hai un ko bhi shayad mere aane ki
itna to batana hai darwaze ka wa hona
hona to zaruri hai har roz ibaadat ka
achchha bhi nahin lagta har roz gila hona
kya un ko sikhaega kya un ko banaega
talwaron ke sae mein bachchon ka baDa hona
yaron ki mohabbat hai tera bhi karam ya-rab
'parwaz' se insan ko har shai ka mila hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.